jis ne ik ahd ke zehnoñ ko jilā dī hogī
mere āvāra ḳhayālāt kī bijlī hogī
le uḌī hai tire hāthoñ kī hinā pichhle pahar
mere uljhe hue afkār kī āñdhī hogī
jitnī mil jā.egī kāñToñ kī chubhan le lūñgā
jo bhī hālat dil-e-be-tāb kī hogī hogī
ham na māneñge ḳhamoshī hai tamannā kā mizāj
haañ bharī bazm meñ vo bol na paa.ī hogī
merī nā-kāmi-e-hālāt ke dhāre ke sivā
ek naddī bhī to be-āb na bahtī hogī
hai 'razā' aaj kā aalam to asīr-e-ib.hām
yaar zinda haiñ to kal aur taraqqī hogī