Qurbi Velori

yak raat main gaya tha rindan ke anjuman mein

Qurbi Velori

Bijapur, Karnataka, India

1706-1769
yak raat maiñ gayā thā rindāñ ke anjuman meñ
bole ki ai havā.ī yū nukta ruk tū man meñ
vahdat ke mulk miyāne niiñ ġhair ko thakānā
ain-e-ḳhudā samajh tū jo hai is anjuman meñ
kyā sāqī-o-muġhannī kyā jaam kyā surāhī
ġhair-e-ḳhudā nako kah gar hai sharāb dan meñ
kyā laala kyā yū sausan kyā nargis-o-saman kyā
hai uucha fil-haqīqat gul hai agar chaman meñ
u nukta kar yaqīñ maiñ har chiiz ko jo dekhyā
begāna kiiñ disyā niiñ bin dost chaukdan meñ
bin zaat haq disyā niiñ yak zaat do jahāñ meñ
bin ism haq sunyā niiñ yak bol yak dahan meñ
ġhaflat kuuñ neñ hai jaagā kaañ suuñ achhegī ġhaflat
zākir tamām aalim hai ma.arifat ke fan meñ
hai ishq uu ḳhudā kā gar ishq hai javāñ meñ
hai husn uu usī kā gar husn hai mahan meñ
ai mahram-e-ḳhudā.ī yak zarra ġhaur kar dek
nukte bhare haiñ ne ke 'qurbī' ke har suḳhan meñ
Top Urdushayar.com