Sabir Zafar

misal-e-sang paDa kab tak intizar karun

Sabir Zafar

1949
misāl-e-sañg paḌā kab tak intizār karūñ
pighalne meñ jo ravānī hai iḳhtiyār karūñ
ḳhabar nahīñ vahāñ tū kaun se libās meñ ho
maiñ kaise ālam-e-pinhāñ ko āshkār karūñ
ba-rañg-e-mauja-e-ḳhushbū uḌā uḌā phire tū
maiñ apne qurb se kyuuñ tujh ko zer-e-bār karūñ
maiñ dekhtā huuñ use kaise kaise rañgoñ meñ
kashīd-e-rañg karūñ aur baar baar karūñ
vo ek baar bhī mujh se nazar milā.e agar
to maiñ use bhī koī mehrbāñ shumār karūñ
jo tū gayā hai to maiñ bhī chalā gayā goyā
aur ab bhī dasht-e-tahayyur meñ ḳhud ko ḳhaar karūñ
yūñhī to maiñ 'zafar' is haal ko nahīñ pahuñchā
fareb de jo mujhe us pe e'tibār karūñ
Top Urdushayar.com