har taraf nāla-o-fariyād ke manzar dekheñ
tujh ko dekheñ ki tirā shahr-e-sitamgar dekheñ
duur se vo nazar aa.egā bas ik saa.e sā
us ko dekheñ to zarā paas bulā kar dekheñ
chāñd sūraj na sitāre haiñ hamāre bas meñ
ek miTTī kā diyā hai so jalā kar dekheñ
ham badal sakte haiñ ḳhud ko ye baḌī baat nahīñ
shart itnī hai ki bāhar nahīñ andar dekheñ
mom sā us kā badan hai yahī kahte haiñ sab
jī meñ aatā hai chalo aaj use chhū kar dekheñ
aaj aḳhbār meñ aa.ī hai ġhazal 'hāris' kī
aadmī ḳhuub hai kaisā hai suḳhnavar dekheñ