diloñ ke zaḳhm bharte kyuuñ nahīñ haiñ
ham is par ġhaur karte kyuuñ nahīñ haiñ
daġhā de kar nikal jaatī hai aage
ḳhushī se log Darte kyuuñ nahīñ haiñ
tijārat kyuuñ adhūrī hai hamārī
hamāre naap bharte kyuuñ nahīñ haiñ
kisī ne bhī na pūchhā dushmanoñ se
mohabbat aap karte kyuuñ nahīñ haiñ
hamārī zindagī hai maut jaisī
yahī sach hai to marte kyuuñ nahīñ haiñ
nazar auroñ pe kyuuñ rahtī hai 'hāris'
ham apnā kaam karte kyuuñ nahīñ haiñ