yaad hai aah kā vo rañg-e-navā ho jaanā
yuuñ fazāoñ meñ simaTnā ki ghaTā ho jaanā
is qadar kaif ki madhosh-e-fazā ho jaanā
dekhnā saaz ko aur naġhma-sarā ho jaanā
husn kī fitrat-e-ma.asūm thī pāband-e-hijāb
ishq se siikh liyā jalva-numā ho jaanā
rasm-e-ādāb-o-mohabbat kā vo pāband kahāñ
jis kī taqdīr meñ ho nazr-e-vafā ho jaanā
husn ik ishq kī soī huī kaifiyyat hai
ishq hai husn kā bedār-e-vafā ho jaanā
na.ī zanjīr hai duniyā kā har ik hañgāma
asl meñ qaid hai zindāñ se rihā ho jaanā
mast-e-pindār sahī sāz-e-ḳhudī kyuuñ chheḌūñ
be-ḳhudī ko mirī aatā hai ḳhudā ho jaanā
yaad hai mujh ko vo gahvāra-e-zulmat kī fazā
itnā tārīkī meñ phir taaki 'ziyā' ho jaanā