Mohammad Sadiq Zia

parda-e-saz mein bhi soz ka hamil hona

Mohammad Sadiq Zia

parda-e-sāz meñ bhī soz hāmil honā

sham.a se siikh sharīk-e-ġham-e-mahfil honā

bazm-e-hastī pe hai mushkil mirā maa.il honā

mujhe aatā nahīñ sar-gashta bātil honā

nāḳhudā mujhe ālūda-e-tūfāñ na samajh

mauj-e-dariyā ko sikhātā huuñ maiñ sāhil honā

sāzgār aaj mujhe raah bhī hai rahbar bhī

merī qismat meñ hai āsūda-e-manzil honā

rishta-e-hosh hai vābasta tujhī se ai dost

kabhī mumkin nahīñ tujh se mirā ġhāfil honā

dil se hoshiyār ki hai dil tarah ain hayāt

maut se bhī hai sivā be-ḳhabar-e-dil honā

sa.ī ke ba.ad na kar kāvish-e-fikr-e-anjām

lā.anat-e-sa.ī hai zahmat-kash-e-hāsil honā

bārish-e-abr se bijlī lagī bujh na sakī

ġhair-mumkin hai ilāj-e-tapish-e-dil na honā

har qadam par rah-e-hastī meñ na.ī Thokar hai

ai 'ziyā' sahl nahīñ fā.ez-e-manzil honā

Top Urdushayar.com