Mohammad Sadiq Zia

KHayal nutq se begana ho to kya kahiye

Mohammad Sadiq Zia

ḳhayāl nutq se begāna ho to kyā kahiye
lab-e-ḳhamosh hī afsāna ho to kyā kahiye
maiñ jāntā huuñ ki tauhīn-e-vaz.a hai mastī
yahī sharī.at-e-mai-ḳhāna ho to kyā kahiye
jamāl-e-dost ko dīvāngī se kyā matlab
dil apne aap hī dīvāna ho to kyā kahiye
ho koī aur to us se gilā munāsib hai
magar jo dost hai begāna ho to kyā kahiye
baġhair sāġhar-e-mai bhī hai kaif kā imkān
tirā ḳhayāl hī rindāna ho to kyā kahiye
maiñ chāhtā huuñ kahūñ rañg-e-ishq kī rūdād
sulūk husn-e-harīfāna ho to kyā kahiye
aziiz dil se ziyāda hai mujh ko ismat-e-rāz
har ik taraf yahī afsāna ho to kyā kahiye
mazāq-e-bazm kī islāh mumkināt se hai
faroġh-e-sham.a hī parvāna ho to kyā kahiye
shabāb dāvat-e-rañgīnī-e-nazar hai 'ziyā'
magar nazar hī faqīhāna ho to kyā kahiye
Top Urdushayar.com