Mohammad Sadiq Zia

koi ye iqbaal se ja kar zara puchhe ziya

Mohammad Sadiq Zia

koī ye 'iqbāl' se jā kar zarā pūchhe 'ziyā'
muddatoñ se kyuuñ tirī bāñg-e-darā ḳhāmosh hai
ek arsa ho gayā naġhme nahīñ firdaus-e-gosh
tishna-e-sāz-e-lab-e-'iqbāl' har ik gosh hai
bazm-e-hastī meñ vahī ab tak hai paidā intishār
ḳhud hī muslim muztarib hai ḳhud musībat-kosh hai
is gulistāñ meñ manāzir kā vahī hai rañg bhī
dekhne vaalā fareb-e-dīd meñ mad.hosh hai
ḳhuuñ shahīdoñ kā ravāñ hai jañg ke maidān meñ
aur ġhāzī kī zabāñ par nārā-e-pur-josh hai
kyā qalam jaulāniyāñ apnī dikhā saktā nahīñ
vo qalam jis kī navā bhī suur kī ham-dosh hai
kyā tire jazbāt ke sho.ale bhaḌak sakte nahīñ
kyā tirā vo gulḳhan-e-pur-soz ab gul-posh hai
kyā abhī baaqī hai terī ruuh meñ aglī taḌap
aa maiñ dekhūñ ab bhī kyā siine meñ tere josh hai
hashr hai aalam meñ barpā aur tū hai mutma.in
shor hai mahfil meñ paidā aur tū ḳhāmosh hai
jaag uTThī qaum tere naġhma-e-bedār se
pahle vo behosh thī aur aaj to behosh hai
kund talvāreñ huiiñ ahd-e-zira-poshī gayā
jaag uTh ġhaflat se vaqt-e-ḳhud-farāmoshī gayā
Top Urdushayar.com