achchhā qisās lenā phir āh-e-ātishīñ se
aao idhar pasīna to pūchh duuñ jabīñ se
merā niyāz phir bhī Thukrāyā jā rahā hai
niklī hai rasm-e-sajda go merī hī jabīñ se
majbūrī-e-mohabbat insāf chāhtī hai
shikva bhī hai tumhīñ se fariyād bhī tumhīñ se
haañ ham bhī jānte haiñ muddat se un butoñ ko
ka.abe ke rahne vaale nikle haiñ āstīñ se
sūraj kī tez kirneñ kaam apnā kar rahī haiñ
baiThā huuñ muñh chhupā.e ik bhīgī āstīñ se
vo sañg-e-dar salāmat āñkhoñ se dekh lenā
ik din tulūa hogā ik chāñd isī jabīñ se
paanī kī chādareñ haiñ ḳhushkī hai maut un kī
ye ashk paak hoñge sāhil kī āstīñ se
the āsmāñ kabhī ham ab to nazar se gir kar
ḳhud apnī zindagī meñ ham mil ga.e zamīñ se
saarā ġhurūr-e-sajda miTTī meñ mil rahā hai
ik naqsh-e-pā uThā.e uThtā nahīñ jabīñ se
kyuuñ huuñ 'sirāj' phir ham muhtāj-e-dil-navāzī
mil jaa.e māñge-jā.che kuchh dard agar kahīñ se