Siraj Lakhnavi

ajab surat se dil ghabra raha hai

Siraj Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1894-1968
ajab sūrat se dil ghabrā rahā hai
hañsī ke saath ronā aa rahā hai
mujhe dil se bhulāyā jā rahā hai
pasīne par pasīnā aa rahā hai
muravvat shart hai ai yād-e-jānāñ
tamannāoñ kā jī ghabrā rahā hai
mirī nīndeñ to āñkhoñ se uḌā diiñ
magar ḳhud vaqt soyā jā rahā hai
adab kar ai ġham-e-daurāñ adab kar
kisī kī yaad meñ farq aa rahā hai
ye aadhī raat ye kāfir añdherā
na sotā huuñ na jaagā jā rahā hai
zarā dekho ye sarkash zarra-e-ḳhāk
falak kā chāñd bantā jā rahā hai
'sirāj' ab dilkashī kyā zindagī meñ
ba-mushkil vaqt kaaTā jā rahā hai
Top Urdushayar.com