Siraj Lakhnavi

liya jannat mein bhi dozaKH ka sahaara humne

Siraj Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1894-1968
liyā jannat meñ bhī dozaḳh kā sahārā ham ne
āshiyāñ barq ke tinkoñ se sañvārā ham ne
husn-e-ā.īna-e-ġhairat ko sañvārā ham ne
na liyā ishq meñ apnā bhī sahārā ham ne
naqsh faanī hī rahā rañg-e-baqā chaḌh na sakā
umr bhar ālam-e-imkāñ ko sañvārā ham ne
har nafas marsiya thā sā.at-e-bedārī kā
laakh soī huī qismat ko pukārā ham ne
haa.e ai maslahat-e-vaqt duhā.ī terī
kar lī nā-ahl kī tanqīd gavārā ham ne
phir bhī peshānī-e-tūfāñ pe shikan baaqī hai
Dūbte vaqt bhī dekhā na kinārā ham ne
dhaḌkaneñ dil kī bhī shāhid haiñ ḳhudā bhī hai gavāh
ham pe jab vaqt paḌā tum ko pukārā ham ne
sāya-e-gul meñ kahāñ fitrat-e-āzād ko chain
har taḌaptī huī bijlī ko pukārā ham ne
Top Urdushayar.com