kāfirī meñ bhī jo chāhat hogī
kuchh to īmāñ kī shabāhat hogī
hashr hai vāda-e-fardā terā
aaj kī raat qayāmat hogī
pūchhā phir hogī mulāqāt kabhī
phir mire haal pe shafqat hogī
kis safā.ī se diyā us ne javāb
dekhā jā.egā jo fursat hogī
ḳhāk-āsūda ġharīboñ ko na chheḌ
ek karvaT meñ qayāmat hogī
aap ke paañv ke nīche dil hai
ik zarā aap ko zahmat hogī
har nafas utnī hī lau degā 'sirāj'
jitnī jis dil meñ harārat hogī