Siraj Lakhnavi

fitrat-e-ishq gunahgar hui jati hai

Siraj Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1894-1968

fitrat-e-ishq gunahgār huī jaatī hai

fikr-e-duniyā bhī ġham-e-yār huī jaatī hai

kitnā nāzuk hai ḳhudā rakkhe mohabbat mizāj

ab tasallī bhī dil-āzār huī jaatī hai

jab se chhīnī hai tirī yaad ne niiñd ā.ankhoñ

dil jo his hai vo bedār huī jaatī hai

aah pābandī-e-ādāb-e-mohabbat tauba

ThanDī har saañs gunāh-gār huī jaatī hai

chhū liyā arsh ko mansūr añgḌā.ī ne

sāf-goī rasan-o-dār huī jaatī hai

har tajallī hai tire sāmne sharminda

chāñdnī sāya-e-dīvār huī jaatī hai

shukriya shoḳhī-e-husn-e-pas-e-parda 'sirāj'

aañkh be-dekhe gunāh-gār huī jaatī hai

Top Urdushayar.com