Siraj Lakhnavi

aankhon mein aaj aansu phir DabDaba rahe hain

Siraj Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1894-1968
āñkhoñ meñ aaj aañsū phir DabDabā rahe haiñ
ham kal kī āstīneñ ab tak sukhā rahe haiñ
ehsāñ jatā jatā kar nashtar lagā rahe haiñ
merī kahāniyāñ sab mujh ko sunā rahe haiñ
aañsū ġham-o-ḳhushī ke jalve dikhā rahe haiñ
kuchh jagmagā rahe haiñ kuchh jhilmilā rahe haiñ
saaqī ke rūThne par rindoñ meñ barhamī hai
sāġhar se aaj sāġhar Takrā.e jā rahe haiñ
ab chāhe shakl-e-fardā jitnī hasīn-tar ho
jo din guzar ga.e haiñ vo yaad aa rahe haiñ
himmat na haar denā ai hasrat-e-nazāra
ik āftāb se ham āñkheñ laḌā rahe haiñ
vahshī haiñ kis ke kitnā suthrā mazāq ġham hai
shabnam se āñsuoñ ke qatre milā rahe haiñ
āñkhoñ par apnī rakh kar sāhil kī āstīñ ko
ham dil ke Dūbne par aañsū bahā rahe haiñ
khultā 'sirāj' kuchh to ye raaz zindagī kā
ye har nafas meñ kis ke paiġhām aa rahe haiñ
Top Urdushayar.com