Siraj Lakhnavi

na kuredun ishq ke raaz ko mujhe ehtiyat-e-kalam hai

Siraj Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1894-1968
na kuredūñ ishq ke raaz ko mujhe ehtiyāt-e-kalām hai
mirā zauq itnā buland hai jahāñ aarzū bhī harām hai
faqat ek rishta-e-mushtarak ḳhalish-e-sukūt-e-kalām hai
yūñhī ik zamāna guzar gayā na payām hai na salām hai
jo charāġh-e-ashk nasīb the vahī sabr kar ke jalā diye
vahī kāfirāna siyāhiyāñ ye vahī bujhī huī shaam hai
abhī rakkhā rahne do taaq par yūñhī āftāb kā aa.ina
ki abhī to merī nigāh meñ vahī merā māh-e-tamām hai
mirā har nafas mirī har nazar hai razā-e-ġhair pe munhasir
jo isī kā naam hayāt hai to hayāt marg-e-davām hai
yahī mai-kada kā ḳhulāsa hai yahī mastiyoñ kā nichoḌ bhī
tirī chashm-e-bāda-farosh meñ ye jo ek kaif-e-tamām hai
mirī hasratoñ kā na ḳhuun kar nahīñ yuuñ na rok mirī zabāñ
mirī sard aah pe shak na kar ye to merā husn-e-kalām hai
baḌī dil-ḳharāsh sadā thī vo ki binā-e-mai-kada hil ga.ī
ye shikast-e-tauba hai dekhtā ki shikasta-e-shīsha-o-jām hai
hai vahī fareb-e-dil-o-nazar abhī kārobār-e-hayāt meñ
vahī ek laġhzish-e-ḳhuld hai jo yahāñ bhī gām-ba-gām hai
zarā dekhnā to azaan kā bhī 'sirāj' vaqt nahīñ rahā
ye tulū-e-mahr hai yā vahī kaf-e-gul-farosh pe jaam hai
Top Urdushayar.com