Siraj Lakhnavi

ashk-e-hasrat mein kyun lahu hai abhi

Siraj Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1894-1968
ashk-e-hasrat meñ kyuuñ lahū hai abhī
sulh kī un se guftugū hai abhī
dil pashemān-e-justujū hai abhī
khoī khoī sī aarzū hai abhī
chāk-e-dil par na kyuuñ hañsī aa.e
ye to shā.ista-e-rafū hai abhī
muskurā leñ haqīqateñ mujh par
naqsh-e-bātil kī justujū hai abhī
jalve betāb aur nazar bechain
naam donoñ kā justujū hai abhī
ḳhairiyat dil kī pūchhne vaale
chain se terī aarzū hai abhī
kaise phāñdegā baaġh kī dīvār
tū giraftār-e-rañg-o-bū hai abhī
dam ghuTā jaatā hai mohabbat kā
band hī band guftugū hai abhī
saikḌoñ aa.ine badal Daale
apnī hī shakl rū-ba-rū hai abhī
gul haiñ ātish-kade ḳhudī ke 'sirāj'
sard insān kā lahū hai abhī
Top Urdushayar.com