jaltī rahnā sham-e-hayāt
phir na milegī aisī raat
kah to ga.ī vo nīchī nigāh
raaz hī rakhnā rāz-e-hayāt
ham kuchh samjhe vo kuchh aur
ḳhāmoshī meñ baḌh ga.ī baat
kis ko sunā.eñ pūchhe kaun
āh-e-nīm-shabī kī baat
ruuh ke munkir jism-parast
sahl nahīñ irfān-e-hayāt
uf ye dast-e-talab aur ham
sab hai vaqt paḌe kī baat
dāman se ab muñh na chhupā
jā bhī chukī ashkoñ kī barāt
jis ne na paa.ī apnī panāh
kyā degā auroñ ko najāt
sher vahī hai jis meñ 'sirāj'
ḳhud taḌpe rūh-e-jazbāt