madad ai ḳhayāl-e-māzī zarā aa.ina uThānā
maiñ badal gayā huuñ ḳhud hī ki badal gayā zamānā
mire ḳhāliq-e-gulistāñ ye samāñ na phir dikhānā
ki ḳhud apnī raushnī meñ nazar aa.e āshiyānā
ye hai jiddat-e-taḳhayyul to bhalā kahāñ Thikānā
mileñ bijliyoñ ke tinke to banā.ūñ āshiyānā
ye qafas qafas na rahtā nazar aatā āshiyānā
mire bāl-o-par se pahle mire dil kā TuuT jaanā
ye na pūchh phuul barse ki girī diloñ pe bijlī
zarā dekh aa.ine meñ kabhī apnā muskurānā
mirā ek ek aañsū ġham-e-fikr-e-do-jahāñ hai
kabhī ḳhushk karnā dāman kabhī āstīñ sukhānā
rag-o-pai meñ barq dauḌe yahī lutf-e-zindagī hai
mire muskurāne vaale yūñhī muskurā.e jaanā
mire shām-e-ġham kī zīnat mire āñsuoñ ke taaro
tumheñ kaam kyā sahar se kahīñ tum na Duub jaanā
kahūñ kyā 'sirāj' tum se jo guzar rahī hai dil par
ye qafas kī zindagī aur ye bahār kā zamāna