Siraj Lakhnavi

wo zakat-e-daulat-e-sabr bhi mere chand ashkon ke nam se

Siraj Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1894-1968
vo zakāt-e-daulat-e-sabr bhī mire chand ashkoñ ke naam se
vo nazar-guzar kī sharāb thī jo chhalak ga.ī mire jaam se
mirī chashm-e-shauq meñ kaif-e-dil jo bharā thā ḳhuun ke naam se
vahī sho.ala ban ke bhaḌak uThā vahī phuuT niklā hai jaam se
koī raat āñkhoñ meñ kaaT lī koī taare gin ke guzār dī
yahī marte marte havas rahī maiñ kabhī to so rahūñ shaam se
baḌī dil-fareb hai dāstāñ tirā zikr aur mirā bayāñ
vo dahan dahan vo zabāñ zabāñ jo hai āshnā tire naam se
mujhe kyā zarūrat-e-chāra-gar isī ik davā meñ haiñ do asar
kabhī mar-miTā tire naam par kabhī jī uThā tire naam se
mujhe vaa.iz apnī lagī hai dhun koī phuul ātish-e-tar kā chun
mire dard-e-dil kī hadīs sun kabhī chheḌ kar lab-e-jām se
jo azal meñ thā vahī nuur hai ki charāġh-e-mahfil-e-tūr hai
koī rahne vaalā zarūr hai mire dil meñ dard ke naam se
jo taḌap thī kal vahī aaj hai yahī mire dil kā ilaaj hai
mirī zindagī bhī 'sirāj' hai isī iztirāb-e-davām se
Top Urdushayar.com