Siraj Lakhnavi

nigah-e-yar yunhi aur chand paimane

Siraj Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1894-1968
nigāh-e-yār yūñhī aur chand paimāne
ab apne hosh meñ aane na paa.eñ dīvāne
mohabbat asl meñ kyā chiiz hai ḳhudā jaane
dahan meñ jitnī zabāneñ haiñ utne afsāne
jo ashk-e-surḳh hai nāma-nigār hai dil kā
sukūt-e-shab meñ likhe jā rahe haiñ afsāne
jahān-e-hosh meñ tā-hashr tabsire hoñge
zabāñ meñ apnī ye kyā kah rahe the dīvāne
shugūn us nigah-e-mai-farosh se le kar
ham aap vaz.a kareñge hazār maiḳhāne
na pūchho āh-e-mohabbat kī raḳhna-andāzī
ḳhudā gavāh hai apne hue haiñ begāne
har ashk-e-surḳh hai dāmān-e-shab meñ aag kā phuul
baġhair sham.a ke bhī jal rahe haiñ parvāne
qadam qadam pe sadā-e-shikast-e-tauba hai
nisār-e-laġhzish-e-sāqī hazār paimāne
fareb-e-husn-e-samā.at tirī duhā.ī hai
haqīqatoñ kī jagah chhīnte haiñ afsāne
buland-o-past nazar farq-e-zāhirī hai 'sirāj'
bane to haiñ inhīñ ābādiyoñ se vīrāne
Top Urdushayar.com