vo taġhāful ko ilāj-e-ġham-e-pinhāñ samjhā
chāra-gar bhī na mire dard kā darmāñ samjhā
tāb-e-dīdār na laa.ī nigah-e-nāz-parast
aur vo dīda-e-ushshāq pe ehsāñ samjhā
jam.a ḳhātir na huī dīd-e-butāñ se apnī
daftar-e-husn ko ajzā-e-pareshāñ samjhā
na huī jalva-gah-e-nāz kī vus.at ma.alūm
go maiñ har zarra ko ik dīda-e-hairāñ samjhā
thī tirī yaad bhī kyā anjuman-ārā-e-ḳhayāl
dil meñ jo sho.ala uThā sham-e-shabistāñ samjhā
shorish-e-ishq kā āsān na thā andāza
chaak ho kar mirī vahshat ko garebāñ samjhā
sāhib-e-dil hai vahī murshid-e-kāmil hai vahī
mere chehre se jo merā ġham-e-pinhāñ samjhā
har nafas shāhid-e-dushvārī-e-ulfat hai 'nazar'
saḳht mushkil thā vahī kaam jo āsāñ samjhā