milā-dilā sahī ik ḳhushk haar baaqī hai
abhī bahār-e-shikast-e-bahār baaqī hai
nazar sañvār chukī kitne ā.ina-ḳhāne
usī tarah havas-e-dīd-e-yār baaqī hai
bichhaunā kāñToñ kā hai phir bhī aa.ī jaatī hai niiñd
abhī tasavvur-e-zānū-e-yār baaqī hai
shikast-e-ahd ke kyuuñ hoñ na silsile qaa.em
ik aasrā pas-e-har-e'tibār baaqī hai
qafas meñ fursat-e-fikr-e-chaman-tarāz kahāñ
yahī bahut hai ḳhayāl-e-bahār baaqī hai
vo āñkheñ bhī khulīñ badlī jo vaqt ne karvaT
idhar nahīñ ab idhar intizār baaqī hai
ye rūh-o-tan kī judā.ī kā marsiya kab tak
vahī do-rañgī-e-lail-o-nahār baaqī hai
chaman to nīm-nigāhī ne kar diyā taqsīm
ḳhudā-e-vaqt koī aur vaar baaqī hai
'sirāj' ab bhī ye aqlīm-e-rañg-o-bū hai bahut
luTī-luTā.ī huī jo bahār baaqī hai