qadam to rakh manzil-e-vafā meñ bisāt khoī huī milegī
vahīñ kahīñ naqsh-e-pā kī sūrat paḌī huī zindagī milegī
milegī haañ rañg meñ ḳhizāñ ke bahār Duubī huī milegī
talāsh kar ḳhār-zār-e-ġham meñ koī to kopal harī milegī
charāġh-e-sajda jalā ke dekho hai but-kada dafn zer-e-ka.aba
hudūd-e-islām hī ke andar ye sarhad-e-kāfirī milegī
habāb ashkoñ ke Dhāltā jā kamāl-e-shīsha-garī dikhā tū
tujhe inhīñ nāzuk ābgīnoñ meñ dil kī tasvīr bhī milegī
hudūd-e-dair-o-haram se haT kar jhukā jabīn-e-niyāz apnī
ġharaz se jab be-niyāz hogā to ujrat-e-bandagī milegī
falak par ik chāñd iid kā roz dekhne ko kahāñ se lā.ūñ
nazar kī sar-mastiyāñ na pūchho kahīñ sar-e-bām hī milegī
uThā bhī ab parda-e-takalluf samā bhī jā dil meñ dard ban kar
rahūñgā kab tak maiñ yūñhī behis kabhī mujhe zindagī milegī
hai jor-e-sayyād hī kā sadqa chaman kī hañgāma-āfrīnī
tabāhiyāñ jis jagah pe hoñgī vahīñ kahīñ zindagī milegī
vahī lab-e-ḳhushk par kuchh aaheñ vahī un āñkhoñ meñ kuchh namī sī
mujhe muqaddar se jab milegī matā-e-be-mā.igī milegī
raheñ salāmat satāne vaale ye hashr to roz hogā barpā
'sirāj' lekin sitam-rasīdoñ kī sabr kī daad bhī milegī