ab itnī arzāñ nahīñ bahāreñ vo ālam-e-rañg-o-bū kahāñ hai
qafas meñ baiThe raho asīro abhī nasheman bahut girāñ hai
guzar rahā hai jo dil pe aalam ayaañ na hone pe bhī ayaañ hai
abhī faqat qasd hai fuġhāñ kā abhī se chehra dhuāñ dhuāñ hai
kahīñ qayāmat na uTh khaḌī ho zamīn miltī hai āsmāñ se
baḌī nazākat kī ye ghaḌī hai mirī jabīñ un kā āstāñ hai
ye ḳhushk-lab ye udaas chehra ye muzmahil muzmahil se aañsū
yahī fasāna yahī haqīqat yahī ḳhamoshī yahī zabāñ hai
ye sab hai nai-rañg-e-āb-o-dāna kahāñ huuñ maiñ aah kyā batā.ūñ
yahī haiñ bas mere do Thikāne qafas nahīñ hai to āshiyāñ hai
charāġh haiñ āsmāñ ke ThanDe vo bijliyāñ sard paḌ ga.iiñ sab
na ab vo tūfān-e-rañg-o-bū hai na ab chaman hai na āshiyāñ hai
dhuāñ chhaTā sho.ale raqs meñ haiñ nazar uThā dekh raushnī meñ
ye tujh ko kyā ho gayā hai hamdam tirā nahīñ merā āshiyāñ hai
uruuj par hai mirā muqaddar ki tasht-az-bām hai asīrī
zamāne kā inqalāb dekho qafas ke saa.e meñ āshiyāñ hai
vahī ġharīboñ kā bhī ḳhudā hai bahut hai jiine ko ye sahārā
'sirāj' is daur se guzarnā magar baḌā saḳht imtihāñ hai