Siraj Lakhnavi

ye jabr-e-zindagi na uThaen to kya karen

Siraj Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1894-1968
ye jabr-e-zindagī na uThā.eñ to kyā kareñ
taḌpeñ magar taḌapne na paa.eñ to kyā kareñ
ab apnī mahfiloñ se bhī aatī hai bū-e-ġhair
jaa.eñ to kyā kareñ jo na jaa.eñ to kyā kareñ
qismat meñ apnī sub.h kī ab raushnī kahāñ
ashkoñ ke bhī diye na jalā.eñ to kyā kareñ
kitnī hī rāteñ jaag ke āñkhoñ meñ kaaT diiñ
bedāriyāñ bhī ḳhvāb dikhā.eñ to kyā kareñ
vo rañg-o-bū ke qāfile raste hoñ jin ke band
dīvār-e-bāġh phāñd na paa.eñ to kyā kareñ
kāñToñ ke din bhī phir ga.e raas aa ga.ī bahār
chhīnī ga.iiñ guloñ kī qabā.eñ to kyā kareñ
girtā hai har palak ke jhapakne pe ik hijāb
āñkhoñ ko intizār sikhā.eñ to kyā kareñ
har raushnī 'sirāj' charāġh-e-haram nahīñ
is sat.h par nigāh ko laa.eñ to kyā kareñ
Top Urdushayar.com