qismat se laḌtī haiñ nigāheñ
tere hote kis ko chāheñ
ulTī dekheñ ishq kī rāheñ
hañsnā paḌe jab ronā chāheñ
ishrat-e-māzī ko rotā huuñ
ġham ke gale meñ Daal ke bāheñ
nāzuk nāzuk jazbe dil ke
halkī halkī ThanDī aaheñ
shīsha-e-dil ke har TukḌe meñ
ek ik sūrat kis ko chāheñ
mere muqaddar ke sar-nāme
jalte aañsū ThanDī aaheñ
dukhte hue dil kī rag rag meñ
tum chuTkī lo ham na karāheñ
haa.e tire pāband-e-mohabbat
qaidī aañsū mujrim aaheñ
ek ik saañs javāb-talab hai
kaise naale kaisī aaheñ
kyā na guzartī hogī dil par
ro na sakeñ jab ronā chāheñ
surḳh āñkheñ haiñ bhare haiñ aañsū
kis se 'sirāj' laḌī haiñ nigāheñ