īmāñ kī numā.ish hai sajde haiñ ki afsāne
haiñ chāñd jabīnoñ par aur zehn meñ but-ḳhāne
kuchh aql ke matvāle kuchh ishq ke dīvāne
parvāz kahāñ tak hai kis kī ye ḳhudā jaane
kam-zarf kī niyyat kyā pighlā huā lohā hai
bhar bhar ke chhalakte haiñ akasr yahī paimāne
ab rañg ke nasloñ ke but TuuT chuke saaqī
ab kyuuñ diye jaate haiñ pahchān ke paimāne
tamhīd-e-qayāmat hai ik raat kā hañgāma
ehsās kī sham.eñ haiñ jazbāt ke parvāne
saaqī ke salīqe par husn-e-do-jahāñ sadqe
sayyāroñ kī gardish hai yā daur meñ paimāne
ye ek laḌī ke sab chhiTke hue motī haiñ
ka.abe hī kī shāḳheñ haiñ bikhre hue but-ḳhāne
kuchh tishna-lab ai saaqī ḳhuddār bhī hote haiñ
uḌ jā.egī mai rakkhe rah jā.eñge paimāne
ik kāfir-e-mutlaq hai zulmat kī javānī bhī
be-rahm añdherā hai sham.eñ haiñ na parvāne
tārīḳh varaq apnā ulTegī 'sirāj' ik din
āfāq meñ phir zinda hoñge mire afsāne