gunāhgār huuñ aisā rah-e-najāt meñ huuñ
maiñ ḳhud charāġh-ba-kaf har añdherī raat meñ huuñ
shu.ūr gum huā dīvāngī hai khoī huī
ḳhudā hī jaane maiñ kis manzil-e-hayāt meñ huuñ
tajallī-e-pas-e-parda zarā tavaqquf kar
abhī to garm-e-nazar bazm-e-mumkināt meñ huuñ
savāl ek nazar kā hai rad na kar ai dost
gadā-e-ḳhāk-basar rāh-e-iltifāt meñ huuñ
harīf-e-jalva bhī ik roz hūñgā sabr karo
abhī to apnī bahisht-e-tasavvurāt meñ huuñ
hai terī yaad kā aalam bhī kitnā dil-āvez
samajh rahā huuñ kisī aur kā.enāt meñ huuñ
kisī ke dil kā sukūñ huuñ kisī ke dil kī ḳhalish
zamīr-e-vaqt huuñ aur qalb-e-kā.enāt meñ huuñ
hai mere haath meñ bhī dil kā ik bujhā sā diyā
kuchh āñsuoñ kī sajā.ī huī barāt meñ huuñ
huuñ ḳhud hī ā.īna-e-hāl kyā batā.ūñ 'sirāj'
maiñ kis kā naqsh-e-qadam arsa-e-hayāt meñ huuñ