Siraj Lakhnavi

duniya ka na uqba ka koi gham nahin sahte

Siraj Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1894-1968
duniyā kā na uqbā kā koī ġham nahīñ sahte
jo aap ke ho jaate haiñ apne nahīñ rahte
ro le abhī kuchh aur ġhanīmat hai ye ronā
ban jaate haiñ vo zahr jo aañsū nahīñ bahte
ab koī na.ī chaal chal ai gardish-e-duniyā
ham roz ke fitne ko qayāmat nahīñ kahte
sab pūchho guzartī hai jo ham par vo na pūchho
dil rotā hai aur aañkh se aañsū nahīñ bahte
aag aur dhuāñ aur havas aur hai ishq aur
har hausla-e-dil ko mohabbat nahīñ kahte
is daur meñ karvaT na badal jazba-e-ehsās
haiñ chain se jo hosh meñ apne nahīñ rahte
hairān haiñ ab jaa.eñ kahāñ DhūñDne tum ko
ā.īna-e-idrāk meñ bhī tum nahīñ rahte
dīdār ke tālib to 'sirāj' ab bhī haiñ lekin
jalnā to baḌā kaam hai aañch ik nahīñ sahte
Top Urdushayar.com