miTā sā harf huuñ bigḌī huī sī baat huuñ maiñ
jabīn-e-vaqt pe ik naqsh-e-be-sabāt huuñ maiñ
batā basīt zamāne hai kyā yahī insāf
jo hai adū-e-numūd-e-sahar vo raat huuñ maiñ
gumān ye thā ki huuñ markaz-e-hujūm-e-nigāh
yaqīn ye hai ki mahrūm-e-iltifāt huuñ maiñ
hai kis gunah kī syāhī mirī ġhalat-fahmī
maiñ jāntā thā ki rūh-e-tajalliyāt huuñ maiñ
har āh-e-sard hai uftād-e-ashk kī tafsīr
ukhaḌ chale haiñ qadam vaqf-e-hādsāt huuñ maiñ
paḌhūñ shikast-e-azā.em kā marsiya kab tak
na jaane kab se sipurd-e-muqaddarāt huuñ maiñ
ye sab durust magar phir yahī kahūñgā 'sirāj'
ḳhud ik zamāna huuñ ḳhud ek kā.enāt huuñ maiñ