hijr meñ nāshād duniyā se dil-e-muztar gayā
aaj apne saath kā ik marne vaalā mar gayā
sunñe vaale ḳhuub ro.e mere hāl-e-zār par
yuuñ hī apnī umr kā paimāna āḳhir bhar gayā
bāzū-e-qātil thakā.e saḳht-jānī ne mirī
bārhā is haath se us haath meñ ḳhanjar gayā
ham vahī gulshan vahī mahfil vahī sāmāñ vahī
ek saaqī kyā gayā lutf-e-mai-o-sāġhar gayā
ho ga.ī ġhairoñ ko bhī nākām marne kī havas
maiñ kisī par jaan de kar kaam apnā kar gayā
rūh-parvar hai nigāh-e-nāz qātil kā asar
jis ko dekhā jī uThā jis ko na dekhā mar gayā
maiñ kabhī royā to vo bole Duboyā nām-e-ishq
aur agar aañsū pī liye to dil meñ dariyā bhar gayā
aisī hī ġhaflat rahī gar mere hāl-e-zār par
ek din ahbāb sun leñge 'nazar' bhī mar gayā