yuuñ subuk-dosh huuñ jiine kā bhī ilzām nahīñ
aah itnī baḌī duniyā meñ koī kaam nahīñ
merī tahqīq mirā husn-e-nazar aam nahīñ
koī aalam ho mire aa.ine meñ shaam nahīñ
os dāman pe hai āñkhoñ meñ namī kī jhalkī
sub.h hone pe bhī āsūdgī-e-shām nahīñ
mast huuñ nashsha-e-parvāz meñ ab hosh kahāñ
ham-navā dekh mirā ruḳh to sū-e-dām nahīñ
mātam ab ḳhaak karūñ be-sar-o-sāmānī kā
ik diyā aaj mayassar hai to ab shaam nahīñ
nashsha-e-hosh pe thī kam-nazarī kī tohmat
khul ga.ī aañkh to ab koī sar-e-bām nahīñ
yaad haiñ chashm-e-navāzish ke vo paiham nashtar
ab to begāna-nigāhī kā bhī paiġhām nahīñ
koī surḳhī ho to afsāna samajh meñ aa.e
haa.e vo dil kī ḳhalish jis kā koī naam nahīñ
ġhusl-e-tauba ke liye bhī nahīñ miltī hai sharāb
ab hameñ pyaas lagī hai to koī jaam nahīñ
phir ujālā hī ujālā nazar aatā hai 'sirāj'
dil ho bedār to duniyā meñ kabhī shaam nahīñ