Siraj Lakhnavi

ab na kuchh sunna na sunana raat guzarti jati hai

Siraj Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1894-1968
ab na kuchh sunñā na sunānā raat guzartī jaatī hai
ḳhatm hai ab be-kahe fasāna raat guzartī jaatī hai
jaldī kyā hai barq-e-tabassum dhuāñ banegā ḳhud aañsū
din ho le phir aag lagānā raat guzartī jaatī hai
tasht-e-tilā.ī meñ sūraj ke ek ik ashk parakh lenā
vaqt-e-sahar ilzām lagānā raat guzartī jaatī hai
rah nahīñ sakte mujrim aañsū qaidī habābī shīshe meñ
vaqt pe chhalkegā paimāna raat guzartī jaatī hai
bistar par surḳh añgāroñ ke dhueñ kī chādar oḌhe hue
sotā rahtā hai parvāna raat guzartī jaatī hai
zinda ḳhuun ke aañsū haiñ ye thoḌī der taḌapne de
vaqt-e-sahar miTTī meñ milānā raat guzartī jaatī hai
shabnam se phūloñ ke kaTore ḳhālī ho jā.eñge 'sirāj'
ashkoñ se bhar lo paimāna raat guzartī jaatī hai
Top Urdushayar.com