Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

kasrat se dagh hain jo gham-e-ishq-e-Khaal mein

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1866-1923
kasrat se daaġh haiñ jo ġham-e-ishq-e-ḳhāl meñ
til bhar jagah nahīñ hai dil-e-pur-malāl meñ
ifshā-e-rāz-e-ishq jo ashkoñ ne kar diyā
Duubā huā hai dil araq-e-infi.āl meñ
rahtī nahīñ hai zulf-e-pareshāñ banāv se
bikhrī hai is liye ki phañse koī jaal meñ
ai jaan dil ke gor-e-ġharībāñ meñ aa.iye
sab ārzūeñ dafn haiñ gard-e-malāl meñ
dil ko jo yād-e-jalva-e-āriz hai dam-ba-dam
raushan hai sham-e-husn makān-e-ḳhayāl meñ
kyā dil dukhāoge jo maza dard kā nahīñ
dam bhar to baiTho aa ke dil-e-pur-malāl meñ
ham ko hujūm-e-ġham bhī ġhanīmat huā 'nazar'
sab aib dil ke chhup ga.e gard-e-malāl meñ
Top Urdushayar.com