kyuuñ kahte ho kyā merī jafā ko nahīñ dekhā
aate hue kah kah ke qazā ko nahīñ dekhā
ā.īna-e-kaunain haiñ donoñ mirī āñkheñ
tum ko nahīñ dekhā ki ḳhudā ko nahīñ dekhā
dekhe to koī tez-ravī umr-e-ravāñ kī
phir kar kabhī naqsh-e-kaf-e-pā ko nahīñ dekhā
har ḳhaar se yuuñ pūchhtī hai dasht meñ lailā
tum ne to kisī ābla-pā ko nahīñ dekhā
kis ġhash pe tumheñ naaz hai ai hazrat-e-mūsā
un kī nigah-e-hosh-rubā ko nahīñ dekhā
ā.īna-e-vahdat hai dil-e-sāf hamārā
kis but meñ nazar shān-e-ḳhudā ko nahīñ dekhā