un kī ruḳhsat ik qayāmat thī dam-e-iz.hār-e-sub.h
shaam tak bachtā nazar aatā nahīñ bīmār-e-sub.h
mujh ko bhī ai sham.a ro le vasl kī shab hai aḳhīr
aur do aañsū bahā ai kushta-e-āzār-e-sub.h
kho diyā tūl-e-shab-e-furqat ne lutf-e-intizār
dīda-e-be-ḳhvāb ko hai hasrat-e-dīdār-e-sub.h
vasl kī shab bujh gayā thā jo hamārā dāġh-e-dil
mehr ban kar ab vahī hai turra-e-dastār-e-sub.h
sub.h se pahle ulaT dī us ne chehre se naqāb
ab koī kāfir bhī kar saktā nahīñ inkār-e-sub.h
raat bhar merī zabāñ par sar-guzasht-e-shām-e-ġham
un ke lab haiñ āshnā-e-lazzat-e-guftār-e-sub.h
vasl kī be-lutfiyāñ bhī lutf se ḳhālī nahīñ
raat bhar dil ko maza detī rahī takrār-e-sub.h
iid milne aa.eñ vo gar iid kā niklā hai chāñd
shaam aa.e saath le kar daulat-e-bedār-e-sub.h
vasl meñ hai apnī qismat kī ḳhalish bhī yādgār
dāman-e-shab se ulajh jaate haiñ aksar ḳhār-e-sub.h
de subūhī jald saaqī ab nahīñ māh-e-siyām
be-sabab kyuuñ raah dekheñ shaam kī mai-ḳhvār-e-sub.h
dekhnā kyā jald guzrī hai shab-e-va.ada 'nazar'
vo idhar aa.e udhar zāhir hue āsār-e-sub.h