kuchh ḳhushī se hamīñ ishq-e-sitam-ījād nahīñ
apne kahne hī meñ apnā dil-e-nāshād nahīñ
tujh sā be-rahm koī aur sitam-ījād nahīñ
dam bhī lene kī ijāzat dam-e-be-dād nahīñ
ye nayā zulm hai yārab ki unhīñ kā va.ada
ham unheñ yaad dilā.eñ vo kaheñ yaad nahīñ
siikh jaatā hai bashar ishq ke sadme sah kar
choT dil kī bhī kam az saili-e-ustād nahīñ
jaan hī jā.egī yā sabr hī aa jā.egā
yā hameñ aaj nahīñ yā dil-e-nāshād nahīñ
yahī mahshar hai yahī va.ada-e-fardā kā hai din
aap kyā bhuul ga.e aur mujhe yaad nahīñ
yuuñ huā huuñ maiñ 'nazar' ishq-e-butāñ meñ kāfir
maiñ to maiñ mere farishtoñ ko ḳhudā yaad nahīñ