us ke jaate hī ye kyā ho ga.ī ghar kī sūrat
na vo dīvār kī sūrat hai na dar kī sūrat
kis se paimān-e-vafā bāñdh rahī hai bulbul
kal na pahchān sakegī gul-e-tar kī sūrat
hai ġham-e-roz-e-judā.ī na nashāt-e-shab-e-vasl
ho ga.ī aur hī kuchh shām-o-sahar kī sūrat
apnī jeboñ se raheñ saare namāzī hushyār
ik buzurg aate haiñ masjid meñ ḳhizar kī sūrat
dekhiye shaiḳh musavvir se khiche yā na khiche
sūrat aur aap se be-aib bashar kī sūrat
vā.izo ātish-e-dozaḳh se jahāñ ko tum ne
ye Darāyā hai ki ḳhud ban ga.e Dar kī sūrat
kyā ḳhabar zāhid-e-qāne ko ki kyā chiiz hai hirs
us ne dekhī hī nahīñ kīsa-e-zar kī sūrat
maiñ bachā tīr-e-havādis se nishāna ban kar
aaḌe aa.ī mirī taslīm-e-sipar kī sūrat
shauq meñ us ke mazā dard meñ us ke lazzat
nāseho us se nahīñ koī mafar kī sūrat
hamla apne pe bhī ik bād-e-hazīmat hai zarūr
rah ga.ī hai yahī ik fat.h o zafar kī sūrat
rahnumāoñ ke hue jaate haiñ ausān ḳhatā
raah meñ kuchh nazar aatī hai ḳhatar kī sūrat
yuuñ to aayā hai tabāhī meñ ye beḌā sau baar
par Darātī hai bahut aaj bhañvar kī sūrat
un ko 'hālī' bhī bulāte haiñ ghar apne mehmāñ
dekhnā aap kī aur aap ke ghar kī sūrat