ab vo aglā sā iltifāt nahīñ
jis pe bhūle the ham vo baat nahīñ
mujh ko tum se e'timād-e-vafā
tum ko mujh se par iltifāt nahīñ
rañj kyā kyā haiñ ek jaan ke saath
zindagī maut hai hayāt nahīñ
yūñhī guzre to sahl hai lekin
fursat-e-ġham ko bhī sabāt nahīñ
koī dil-soz ho to kiije bayāñ
sarsarī dil kī vārdāt nahīñ
zarra zarra hai maz.har-e-ḳhurshīd
jaag ai aañkh din hai raat nahīñ
qais ho kohkan ho yā 'hālī'
āshiqī kuchh kisī kī zaat nahīñ