Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

shauq-e-dil fikr-e-dahan mein hai jo rahbar ki tarah

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1866-1923
shauq-e-dil fikr-e-dahan meñ hai jo rahbar kī tarah
DhūñDhtā huuñ chashma-e-haivāñ sikandar kī tarah
merī aahoñ ko abas hai nā-rasā.ī kā gila
dil meñ ghar karnā to sīkheñ yād-e-dilbar kī tarah
sar se pā tak hai misāl-e-gardan-e-taslīm ḳham
kis se hotā hai adab qātil kā ḳhanjar kī tarah
thā jo vaqt-e-qatl armān-e-ham-āġhoshī mujhe
ḳhuuñ kī chhīñTeñ lipTī haiñ ḳhanjar se jauhar kī tarah
dard-e-dil uTh uTh ke Dhātā hai qayāmat jaan par
shām-e-hijr-e-āshiqāñ hai sub.h-e-mahshar kī tarah
dil ko āñkhoñ ne sujhā.ī haiñ jo rāheñ ishq kī
har jagah mujh ko liye phirtā hai rahbar kī tarah
yād-e-gesū ik balā-e-jāñ-sitāñ hai hijr meñ
kaaTe khātā hai mirā ghar mujh ko azhdar kī tarah
is ko lutf-e-dard us ko lazzat-e-mashq-e-jafā
dil kī aadat bigḌī hai ḳhū-e-sitamgar kī tarah
un kī aamad kī ḳhabar sun kar hujūm-e-shauq se
kashmakash hai ḳhāna-e-dil meñ bhare ghar kī tarah
misl-e-dīvāna phirā kartā hai kyoñ ye roz-o-shab
āsmāñ ko bhī hai kyā saudā mire sar kī tarah
aap kī ġhaflat se saarī ārzūeñ mar ga.iiñ
dil mirā vīrān hai ujḌe hue ghar kī tarah
ban ke shabnam laakh Tapkeñ chashm-e-aḳhtar se sarishk
ro.egā kyā āsmāñ us dīda-e-tar kī tarah
TukḌe TukḌe dil jigar haiñ tez fiqroñ se huzūr
aap kī teġh-e-zabāñ chaltī hai ḳhanjar kī tarah
raah meñ dil nīchī nazroñ se huā jaatā hai zab.h
jhuk ke bhī chaltā hai vo qātil to ḳhanjar kī tarah
shukr-e-ḳhāliq hai ki be-minnat maiñ hotā huuñ shahīd
dil ko yād-e-abrū-e-qātil hai ḳhanjar kī tarah
tauba tauba kyā ġhazab saaqī kī ġhaflat ne kiyā
sab kī sūrat dekhtā huuñ riñd-e-be-zar kī tarah
hijr-e-sāqī meñ nazar aayā kahīñ gar shaġhl-e-mai
DabDabā.e dīda-e-tar chashm-e-sāġhar kī tarah
ārzū-e-vasl-e-qātil itnī hai mujh zaar ko
huuñ hama-tan sūrat-e-āġhosh ḳhanjar kī tarah
ai 'nazar' ishq-e-miyān-e-yār kā hai ye asar
jism-e-lāġhar jo nihāñ hai jaañ ke jauhar kī tarah
Top Urdushayar.com