Altaf Hussain Hali

jite ji maut ke tum munh mein na jaana hargiz

Altaf Hussain Hali

Panipat, Haryana, India

1837-1914
jiite jī maut ke tum muñh meñ na jaanā hargiz
dosto dil na lagānā na lagānā hargiz
ishq bhī taak meñ baiThā hai nazar-bāzoñ kī
dekhnā sher se āñkheñ na laḌānā hargiz
haath malne na hoñ piirī meñ agar hasrat se
to javānī meñ na ye rog basānā hargiz
jitne raste the tire ho ga.e vīrāñ ai ishq
aa ke vīrānoñ meñ ab ghar na basānā hargiz
kuuch sab kar ga.e dillī se tire qadr-shanās
qadr yaañ rah ke ab apnī na gañvānā hargiz
tazkira dehli-e-marhūm kā ai dost na chheḌ
na sunā jā.egā ham se ye fasāna hargiz
DhūñDtā hai dil-e-shorīda bahāne mutrib
dard-añgez ġhazal koī na gaanā hargiz
sohbateñ aglī musavvir hameñ yaad ā.eñgī
koī dilchasp muraqqā na dikhānā hargiz
le ke daaġh aa.egā siine pe bahut ai sayyāh
dekh is shahr ke khañDaroñ meñ na jaanā hargiz
chappe chappe pe haiñ yaañ gauhar-e-yaktā tah-e-ḳhāk
dafn hogā kahīñ itnā na ḳhazāna hargiz
miT ga.e tere miTāne ke nishāñ bhī ab to
ai falak is se ziyāda na miTānā hargiz
vo to bhūle the hameñ ham bhī unheñ bhuul ga.e
aisā badlā hai na badlegā zamāna hargiz
ham ko gar tū ne rulāyā to rulāyā ai charḳh
ham pe ġhairoñ ko to zālim na hañsānā hargiz
āḳhirī daur meñ bhī tujh ko qasam hai saaqī
bhar ke ik jaam na pyāsoñ ko pilānā hargiz
baḳht so.e haiñ bahut jaag ke ai daur-e-zamāñ
na abhī niind ke mātoñ ko jagānā hargiz
kabhī ai ilm o hunar ghar thā tumhārā dillī
ham ko bhūle ho to ghar bhuul na jaanā hargiz
shā.irī mar chukī ab zinda na hogī yaaro
yaad kar kar ke use jī na kuḌhānā hargiz
'ġhālib' o 'shefta' o 'nayyar' o 'āzurda' o 'zauq'
ab dikhā.egā ye shakleñ na zamānā hargiz
'momin' o 'alvī' o 'sahbā.ī' o 'mamnūñ' ke baad
sher kā naam na legā koī daanā hargiz
kar diyā mar ke yagānoñ ne yagāna ham ko
varna yaañ koī na thā ham meñ yagāna hargiz
'dāġh' o 'majrūh' ko sun lo ki phir is gulshan meñ
na sunegā koī bulbul kā tarāna hargiz
raat āḳhir huī aur bazm huī zer-o-zabar
ab na dekhoge kabhī lutf-e-shabāna hargiz
bazm-e-mātam to nahīñ bazm-e-suḳhan hai 'hālī'
yaañ munāsib nahīñ ro ro ke rulānā hargiz
Top Urdushayar.com