baat kuchh ham se ban na aa.ī aaj
bol kar ham ne muñh kī khaa.ī aaj
chup par apnī bharam the kyā kyā kuchh
baat bigḌī banī banā.ī aaj
shikva karne kī ḳhū na thī apnī
par tabī.at hī kuchh bhar aa.ī aaj
bazm saaqī ne dī ulaT saarī
ḳhuub bhar bhar ke ḳhum luñDhā.ī aaj
ma.asiyat par hai der se yā rab
nafs aur shara meñ laḌā.ī aaj
ġhālib aatā hai nafs-e-dūñ yā shar.a
dekhnī hai tirī ḳhudā.ī aaj
chor hai dil meñ kuchh na kuchh yaaro
niind phir raat bhar na aa.ī aaj
zad se ulfat kī bach ke chalnā thā
muft 'hālī' ne choT khaa.ī aaj