Altaf Hussain Hali

kabk o qumri mein hai jhagDa ki chaman kis ka hai

Altaf Hussain Hali

Panipat, Haryana, India

1837-1914
kabk o qumrī meñ hai jhagḌā ki chaman kis kā hai
kal batā degī ḳhizāñ ye ki vatan kis kā hai
faisla gardish-e-daurāñ ne kiyā hai sau baar
marv kis kā hai badaḳhshān o ḳhutan kis kā hai
dam se yūsuf ke jab ābād thā yāqūb kā ghar
charḳh kahtā thā ki ye bait-e-huzan kis kā hai
mutma.in is se musalmāñ na masīhī na yahūd
dost kyā jāniye ye charḳh-e-kuhan kis kā hai
vaa.iz ik aib se tū paak hai yā zāt-e-ḳhudā
varna be-aib zamāne meñ chalan kis kā hai
aaj kuchh aur dinoñ se hai sivā istiġhrāq
azm-e-tasḳhīr phir ai sheḳh-e-zaman kis kā hai
aañkh paḌtī hai har ik ahl-e-nazar kī tum par
tum meñ ruup ai gul o nasrīn o saman kis kā hai
ishq udhar aql idhar dhun meñ chale haiñ terī
rasta ab dekhiye donoñ meñ kaThin kis kā hai
shaan dekhī nahīñ gar tū ne chaman meñ us kī
valvala tujh meñ ye ai murġh-e-chaman kis kā hai
haiñ fasāhat meñ masal vaa.iz o 'hālī' donoñ
dekhnā ye hai ki be-lāg suḳhan kis kā hai
Top Urdushayar.com