ranj aur ranj bhī tanhā.ī kā
vaqt pahuñchā mirī rusvā.ī kā
umr shāyad na kare aaj vafā
kāTnā hai shab-e-tanhā.ī kā
tum ne kyuuñ vasl meñ pahlū badlā
kis ko da.avā hai shakebā.ī kā
ek din raah pe jā pahuñche ham
shauq thā bādiya-paimā.ī kā
us se nādān hī ban kar miliye
kuchh ijāra nahīñ dānā.ī kā
saat pardoñ meñ nahīñ Thahartī aañkh
hausla kyā hai tamāshā.ī kā
darmiyāñ pā-e-nazar hai jab tak
ham ko da.avā nahīñ bīnā.ī kā
kuchh to hai qadr tamāshā.ī kī
hai jo ye shauq ḳhud-ārā.ī kā
us ko chhoḌā to hai lekin ai dil
mujh ko Dar hai tirī ḳhud-rā.ī kā
bazm-e-dushman meñ na jī se utrā
pūchhnā kyā tirī zebā.ī kā
yahī anjām thā ai fasl-e-ḳhizāñ
gul o bulbul kī shanāsā.ī kā
madad ai jazba-e-taufīq ki yaañ
ho chukā kaam tavānā.ī kā
mohtasib uzr bahut haiñ lekin
izn ham ko nahīñ goyā.ī kā
hoñge 'hālī' se bahut āvāra
ghar abhī duur hai rusvā.ī kā