Altaf Hussain Hali

dhum thi apni parsai ki

Altaf Hussain Hali

Panipat, Haryana, India

1837-1914
dhuum thī apnī pārsā.ī kī
kī bhī aur kis se āshnā.ī kī
kyuuñ baḌhāte ho iḳhtilāt bahut
ham ko tāqat nahīñ judā.ī kī
muñh kahāñ tak chhupāoge ham se
tum ko aadat hai ḳhud-numā.ī kī
laag meñ haiñ lagāo kī bāteñ
sulh meñ chheḌ hai laḌā.ī kī
milte ġhairoñ se ho milo lekin
ham se bāteñ karo safā.ī kī
dil rahā pā-e-band-e-ulfat-e-dām
thī abas aarzū rihā.ī kī
dil bhī pahlū meñ ho to yaañ kis se
rakhiye ummīd dilrubā.ī kī
shahr o dariyā se baaġh o sahrā se
bū nahīñ aatī āshnā.ī kī
na milā koī ġhārat-e-īmāñ
rah ga.ī sharm pārsā.ī kī
baḳht-e-ham-dastāni-e-shaidā
tū ne āḳhir ko nā-rasā.ī kī
sohbat-e-gāh-gāhi-e-rashkī
tū ne bhī ham se bevafā.ī kī
maut kī tarah jis se Darte the
saa.at aa pahuñchī us judā.ī kī
zinda phirne kī hai havas 'hālī'
intihā hai ye be-hayā.ī kī
Top Urdushayar.com