maiñ to maiñ ġhair ko marne se ab inkār nahīñ
ik qayāmat hai tire haath meñ talvār nahīñ
kuchh patā manzil-e-maqsūd kā paayā ham ne
jab ye jaanā ki hameñ tāqat-e-raftār nahīñ
chashm-e-bad-dūr bahut phirte haiñ aġhyār ke saath
ġhairat-e-ishq se ab tak vo ḳhabar-dār nahīñ
ho chukā naaz uThāne meñ hai go kaam tamām
lillāhil-hamd ki bāham koī takrār nahīñ
muddatoñ rashk ne aġhyār se milne na diyā
dil ne āḳhir ye diyā hukm ki kuchh aar nahīñ
asl maqsūd kā har chiiz meñ miltā hai patā
varna ham aur kisī shai ke talabgār nahīñ
baat jo dil meñ chhupāte nahīñ bantī 'hālī'
saḳht mushkil hai ki vo qābil-e-iz.hār nahīñ