Altaf Hussain Hali

buri aur bhali sab guzar jaegi

Altaf Hussain Hali

Panipat, Haryana, India

1837-1914
burī aur bhalī sab guzar jā.egī
ye kashtī yūñhī paar utar jā.egī
milegā na gulchīñ ko gul kā patā
har ik pañkhuḌī yuuñ bikhar jā.egī
raheñge na mallāh ye din sadā
koī din meñ gañgā utar jā.egī
idhar ek ham aur zamāna udhar
ye baazī to so bisve har jā.egī
banāvaT kī sheḳhī nahīñ rahtī shaiḳh
ye izzat to jā.egī par jā.egī
na puurī huī haiñ umīdeñ na hoñ
yūñhī umr saarī guzar jā.egī
suneñge na 'hālī' kī kab tak sadā
yahī ek din kaam kar jā.egī
Top Urdushayar.com