Altaf Hussain Hali

dil se KHayal-e-dost bhulaya na jaega

Altaf Hussain Hali

Panipat, Haryana, India

1837-1914
dil se ḳhayāl-e-dost bhulāyā na jā.egā
siine meñ daaġh hai ki miTāyā na jā.egā
tum ko hazār sharm sahī mujh ko laakh zabt
ulfat vo raaz hai ki chhupāyā na jā.egā
ai dil razā-e-ġhair hai shart-e-razā-e-dost
zinhār bār-e-ishq uThāyā na jā.egā
dekhī haiñ aisī un kī bahut mehrbāniyāñ
ab ham se muñh meñ maut ke jaayā na jā.egā
mai tund o zarf-e-hausla-e-ahl-e-bazm tañg
saaqī se jaam bhar ke pilāyā na jā.egā
raazī haiñ ham ki dost se ho dushmanī magar
dushman ko ham se dost banāyā na jā.egā
kyuuñ chheḌte ho zikr na milne kā raat ke
pūchheñge ham sabab to batāyā na jā.egā
bigḌeñ na baat baat pe kyuuñ jānte haiñ vo
ham vo nahīñ ki ham ko manāyā na jā.egā
milnā hai aap se to nahīñ hasr ġhair par
kis kis se iḳhtilāt baḌhāyā na jā.egā
maqsūd apnā kuchh na khulā lekin is qadar
ya.anī vo DhūñDte haiñ jo paayā na jā.egā
jhagḌoñ meñ ahl-e-dīñ ke na 'hālī' paḌeñ bas aap
qissa huzūr se ye chukāyā na jā.egā
Top Urdushayar.com