Altaf Hussain Hali

ishq ko tark-e-junun se kya gharaz

Altaf Hussain Hali

Panipat, Haryana, India

1837-1914
ishq ko tark-e-junūñ se kyā ġharaz
charḳh-e-gardāñ ko sukūñ se kyā ġharaz
dil meñ hai ai ḳhizr gar sidaq-e-talab
rāh-rau ko rah-numoñ se kyā ġharaz
hājiyo hai ham ko ghar vaale se kaam
ghar ke mehrāb o sutūñ se kyā ġharaz
gungunā kar aap ro paḌte haiñ jo
un ko chañg o arġhanūñ se kyā ġharaz
nek kahnā nek jis ko dekhnā
ham ko taftīsh-e-darūñ se kyā ġharaz
dost haiñ jab zaḳhm-e-dil se be-ḳhabar
un ko apne ashk-e-ḳhūñ se kyā ġharaz
ishq se hai mujtanib zāhid abas
sher ko said-e-zabūñ se kyā ġharaz
kar chukā jab shaiḳh tasḳhīr-e-qulūb
ab use duniyā-e-dūñ se kyā ġharaz
aa.e ho 'hālī' pa.e-taslīm yaañ
aap ko chūn-o-chagūñ se kyā ġharaz
Top Urdushayar.com